Kabhi kabhi hum yeh sochnay per majboor hojate hain zindagi
kiya hai, kyun hai, aur kis tarha guzaari jaaye.
Kabhi kabhi zindagi main her tarf andhera hi andhera hota
hai, hum chah k bhi kuch dekh nahi paatay. Who maqaam humay yeh sochne per majboor
ker deta hai kay zindagi kiya hai.
Hum insaan itnay bewakoof hain kay yeh nahi soch patay k
zindagi Allah ki di hui hai. Yeh uski zindagi hai, who jo chahe ker sakta hai
jab chahe le sakta hai. Who andhera jo humay dikhayi de raha hota hai woh andhera
nahi hamari ankho per patti bandhi hui hoti hai.
Dunyaawi cheezon ne patti bandh di hoti hai.
Kuch logon ki ankhon per daulat ki patti bandh jaati hai,
onhay chah kay bhi daulat kay siwaye kuch dikhayi nahi deta.
Kuch woh log hain jinki ankhon per shohrat ki patti bandh
jaati hai, onhay chah kay bhi shohrat kay siwaye kuch nahi dikhayi deta.Kuch woh log hain jin per husn-e-jawaal ki patti bandh jaati hai. Woh laakh husn dekh lein, ya paa lain onka jee nahi bharta woh aur se aur husn ki talaash main rehte hain. Who husn ko panay main andhay hojate hain.
Magar kuch aisay bhi log hain jinki ankho per Allah or uskay mehboob ki mohabbat ki patti bandhi hui hoti hai aur onhay her taraf roshini nazar aati hai.
Un logon ka dunya main jee nahi lagta, unhay daulat se khushi nahi milti, unhay shohrat paanay se sukoon nahi milta, unhay dunya kay husn dekh k thandak nahi milti.
Yeh woh log hain jo ‘Momin’ hain, Aur ‘Momin’ kay liye yeh
dunya qaid-khaana hai.
‘Momin’ laakh chahein is dunya main magan nahi ho patay.
Kyunkay unhay her taraf roshni dikhayi de rahi hoti hai,
onhay pata hota hai yeh dunya faani hai, yahaan her cheez faani hai, sab hi ko
maut aani hai. Lay jana hai toh sirf naik amaal le jana hai.
Yeh woh log hote hain jo sirf Allah ko raaazi kerne main
masroof hotay hain.Aur husn,daulat,shohrat inkay peechay khud aati hai.
‘Momin’ apni dunya aur akhirat dono sanwaar leita hai,
Aur ajkal ka insaan itna naa-samjh hai. Daulat,shohrat
haasil na ho paaye toh taqdeer se larta, khuda se larta. Woh yeh nahi sochta k
agar maine khuda ko raazi ker liya hota toh yeh cheezein mere peechay aatiin.
Humari zindagi Allah ki amaanat hai. Aur iski hifaazat
hamari zimadaari hai. Hamari zindagi ka maqsad Allah or uske mahboob ko raazi
kerna hai. Hamari zindagi Nabi (s.w.w) ki sunnah k mutaabiq guzaarne ki hai.
Hum akelay hi aaye thay, Akelay hi jaayeingay. Yeh daulat
aaj tumhari toh hojaegi, Shohrat aj tumhay toh mil jaayegi. Magar kal ko yeh
kisi aur kay hojayeingay. Agar kuch aapka hoga toh woh sirf O sirf aapkay naik
amaal. Jo aapkay saath raheingay, jo apki qabar ko bhi roshan ker deingay yeh
aapko dhoka nahi deingay.
Daulat,Shohrat,Husn kab wafadaar hote hain. Yeh aaj tumharay
hain toh kal kisi aur kay.
Humaien ankhon se patti utaarni hai,Humein andharay se
baahir nikalna hai issay pehle hum andheron
main hamesha kay liye dooob jayein..!
Thats really true..
ReplyDeletePlease update your profile
ReplyDelete